1.
" Vishwas banke log zindgi me aate hai.
Khwab banke ankho me sama jate hai..
Pehle yakin dilate hai ki wo hamare hai...
Fir jane kyu tanha chhod ke chale jate hai...."
2.
" Unki ek nazar ko taraste rahenge.
Ye aansu har pal baraste rahenge..
Kabi bite the kuch pal unke sath...
Bas yahi soch kar hum haste rahenge "
3.
" Apke khubsurat dil me hamari yaad rahe.
Ye chahne walo ki duniya yun hi aabad rahe..
Kasam khuda ki or kuch nahi chahiye hame...
Yun hi bas milta aapka pyar rahe "
4.
" Chhoti chhoti baaton pe takraar na kiya karo.
Hamare har mazak ko dil pe na liya karo"..
Kya pata saath hai aur kitne din ka...
In palo ko to pyar se jiya karo "
5.
"Ahsas agar ho to mohabbat karo mahsus.
Har bat ka izhar zarori nhi labo se"..
6.
"Kambakht in nigaho ka kya kasoor jo rehti hain teri raahon me.
Tumhe haqiqat me na paya per paya hai apni panaho me..
Dil-o-jaan se chaha hai tujhe ai zalim...
Zara ek nazar dekh to le wo pyar meri ankho me"....
7.
"Ruthna mat manana nahi aata.
Jana mat vida karna nahi aata..
Rona mat hasana nahi aata butttttttttt...
PYAR karna qki hame bhi PYAR karna aat hai"....
8.
waqt fisalta hai ret ki tarah hum bas
use samhalna bhul jaate hai
kuch log bahut khas hote hai zindagi mein
hum bas unhe batana bhul jaate hain.
9.
waqt badalta hai zindagi ke saath
zindagi badalti hai mohabath ke saath
mohabath nahi badalti apno ke saath
bas apne badal jate hai waqt ke saat .
10.
" Sham ki shama me ek tasvir nazar ati hai.
Tab in hothon se ek baat nikal ati hai..
Kab hogi unse ji bhar k baaten...
Bas yahi soch k har sham guzar jati hai "
11.
" Kash main chand tu sitara hota.
Falak pey ek ashiyana hamara hota..
Sab tujhe door bohat door se dakhtey...
Per tujhe chooney ka haq sirf hamara hota "
12.
" Dil ki basti bikhar gayi hoti.
ki rooh ke ye zakhm bhar gaye hote..
yeh zindagi to aap ki amaanat thi warna...
hum to kab ke mar gaye hote "
13.
" Chehre pe ashko ki lakeer si ban gayi.
Jo na chaaha tha vo takdeer si ban gayi..
humne to chalaayi thi ret pe ungli...
gaur se dekha to unki tasveer si ban gayi "
14.
" Hume Hasne-Hasane ki aadat hai,
Nazron se Nazar Milane ki aadat hai,
Par hamari to nazar unse hi ja mili,
Jinhe nazar Zhuka ke Sharmane ki Aadat hai "
15.
" Khamoshiyan teri mujhse baatein karti hain,
meri har aah har dard samajhti hain.
Pata hai majbuur hai tu bhi aur main bhi,
phir bhi aankhein tere deedar ko tarasti hain "
No comments:
Post a Comment